Lagta tha asan na hoga ghar chodna Pta na tha apna seher chodne ka gam bhi kuch kam na hoga Aziz h ye seher mujhe,ye toh khabar thi Par kbi ruh yahan bas jayegi iska andaza na tha Jahan bachpan hai guzra kash yovan bhi vhi bitta Ye toh pta tha ki gehra nata hai is seher se, yahan aana khwahish ki fehrisht me shamil ho jayega iska andaza na tha Ye Jo seher hai,jahan mera kal raha hai Mere aaj ka yahan ni hone ka mujhe malal hai Pta tha yahan ki hawao ki aadat hai mujhe Is aadat to chhodna itna taqalluf dega malum na tha Ye Jo seher hai ajij se kuch jada he hai
Vipulgunjan Unrevealed
The Unrevealed



