Lagta tha asan na hoga ghar chodna
Pta na tha apna seher chodne ka gam bhi kuch kam na hoga
Aziz h ye seher mujhe,ye toh khabar thi
Par kbi ruh yahan bas jayegi iska andaza na tha
Jahan bachpan hai guzra kash yovan bhi vhi bitta
Ye toh pta tha ki gehra nata hai is seher se,
yahan aana khwahish ki fehrisht me shamil ho jayega iska andaza na tha
Ye Jo seher hai,jahan mera kal raha hai
Mere aaj ka yahan ni hone ka mujhe malal hai
Pta tha yahan ki hawao ki aadat hai mujhe
Is aadat to chhodna itna taqalluf dega malum na tha
Ye Jo seher hai ajij se kuch jada he hai


Comments

Popular Posts